agar ye raushni qalb o nazar se aai hai to phir shabih-e-sitam-gar kidhar se aai hai mahak raha hai badan mang mein sitare hain shab-e-firaq bata kis ke ghar se aai hai gulon mein rang to khun-e-jigar se aaya hai magar ye tazgi is chashm-e-tar se aai hai rawish rawish pe kuchh aaise tahal rahi hai saba ki jaise ho ke teri rahguzar se aai hai ise tu gosha-e-makhsus mein sambhaal ke rakh kiran hai kucha-e-shams-o-qamar se aai hai