jo qissa-go ne sunaya wahi suna gaya hai agar tha is se siwa to nahin kaha gaya hai musafirat ka hunar hai na wapsi ki khabar so chal raha hun jidhar bhi ye rasta gaya hai aman ko nil mayassar na main koi musa mujhe supurd-e-farain kar diya gaya hai sabab nahin tha zamin par utarne ka mujhe sabab baghair hi wapas utha liya gaya hai ye muntaha hai meri na-rasai ka shayad jo dur hadd-e-nazar se pare khala gaya hai mahak uthe hain mere bagh ke khas-o-khashak koi tahalta hua surat-e-saba gaya hai