agar zaKHmi na ho to ye jigar achchha nahin lagta

agar zakhmi na ho to ye jigar achchha nahin lagta
ki be-ansu mohabbat ka safar achchha nahin lagta

tere bin shahr bhi jaan-e-jigar achchha nahin lagta
agar ghar mein chala jaun to ghar achchha nahin lagta

bhatak kar sari duniya mein yahin par laut aata hun
tere dar ke siwa koi bhi dar achchha nahin lagta

sawal-e-ishq par mujh se bahane kyon banata hai
tu mujh se saf kah de main agar achchha nahin lagta

jidhar dekho udhar hi chand se chehre nazar aaen
mujhe tere siwa koi magar achchha nahin lagta

mujhe tujh se mohabbat hai teri yaadon se raghbat hai
magar ye jagna bhi raat bhar achchha nahin lagta

hain apni jaan se pyari mujhe khuddariyan apni
kisi ke samne jhuk jae sar achchha nahin lagta

koi majbur ho kar hi watan se dur rahta hai
nahin to kaun hai wo jis ko ghar achchha nahin lagta

nahin hai e'tiraaz-e-bandagi lekin mujhe naseh
jahan sar tu jhukata hai wo dar achchha nahin lagta

'faraaz' ahl-e-sukhan fan se tere manus hain lekin
unhen tera bulandi ka safar achchha nahin lagta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close