ghazal kahna adakari nahin hai hamara shauq bazari nahin hai karun sajda tere naqsh-e-qadam par abhi itna junun tari nahin hai kisi ko sochna tanhaiyon mein mohabbat hai ye bimari nahin hai gham-e-dil ko ghazal mein dhaalta hun tumhi kah do ye fankari nahin hai amir-e-shahr bhi mujh se khafa hai mera lahja jo darbari nahin hai diya hai sath hum ne har qadam par magar nam-e-wafadari nahin hai hamein hasil hai fikr-o-fan ki daulat ghazal kahna koi bhaari nahin hai 'faraaz' un se ye main ne zakhm khaya jinhen aati dil-azari nahin hai