agarche bagh-o-chaman ki bahaar hai ghuncha

agarche bagh-o-chaman ki bahaar hai ghuncha
pe tu na hoe to nazron mein khar hai ghuncha

lagi hai tegh-e-nigah kis ki ye bata bulbul
ki tukde hai jigar-e-gul figar hai ghuncha

jale hai is liye dil bulbulon ka ai gul-ru
ki tere mukhde pe ji se nisar hai ghuncha

tere labon se jo tashbih dijiye to ghalat
yun apni tarah mein rangin hazar hai ghuncha

hansa hai tu magar us ke dahan pe ai gul-ru
jo munfail basar-e-shakh-sar hai ghuncha

zarur kya hai jo gulshan mein jaen chhod tujhe
tera hi munh hamein ai gul-ezar hai ghuncha

tu us ka bosa jo leta hai dam-ba-dam 'afsos'
kisi dahan ka magar yaadgar hai ghuncha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close