dekhi na marte marte bhi surat habib ki

dekhi na marte marte bhi surat habib ki
qismat to dekhna koi is be-nasib ki

ai jaan jald aa nahin takhir ka ye waqt
haalat bahut buri hai dil-e-na-shakeb ki

ai sarw sab ki nazron se gir jaega abhi
tu hamsari na kijiyo us jama-zeb ki

aane laga hai bagh mein sayyaad subh-o-sham
ab bud-o-bash ho chuki yan andalib ki

maktab mein gar nashist rahi teri ai sanam
to subh-o-sham khush lage sohbat adib ki

tu lakh galiyan mujhe de le abhi miyan
par baat mere samne mat kar raqib ki

kyon dekhta hai nabz ye bimar-e-ishq ki
'afsos' aaj aql kidhar hai tabib ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close