agarche dard-e-mohabbat mein kuchh kami na hui hazar shukr ki be-kaif zindagi na hui main apne aap ko banda kahun to kaise kahun jabin-e-shauq to shayan-e-bandagi na hui sar-e-mazar jala bhi agar charagh to kya tah-e-mazar to sad-haif raushni na hui hamara kaam mohabbat mein jaan dena tha nigah-e-lutf kisi ki hui hui na hui ghazal ke kahne pe ahbab ne kiya majbur magar 'salam' haqiqat mein shairi na hui