na yun bar-bar dekho mera dil pighal gaya to main kahan talak sambhaalun ye agar machal gaya to hai ye mashwara tumhaara ki main dil pe jabr kar lun kya ye tum bhi sah sakoge main agar badal gaya to ya to dosh mujh ko mat do ya naqab khud ulat do tapish-e-nazar se meri jo naqab jal gaya to kaho kab talak kahoge be-zaban nahin hun main bhi kya karoge mere munh se kahin kuchh nikal gaya to nahin khauf-e-barq mujh ko kai phir se ban sakenge kahin sath aashiyan ke ye chaman bhi jal gaya to mere sabr-o-dar-guzar ko na samajhna buz-dili tum ye tumhein padega mahnga jo dimagh chal gaya to kisi fitna-gar ka 'najmi' hai sudhaar ghair-mumkin ise moajiza hi kahna jo koi sanbhal gaya to