agarche dil ko le sath apne aaya ashk mera nigah mein teri hargiz na bhaya ashk mera main tere hijr mein jine se ho gaya tha udas pe garm-joshi se kya kya manaya ashk mera hazar zaruri hai ai sarw-e-naz is se tujhe ki aabshaar-e-mizha ko bahaya ashk mera hua hai kaun se khurshid-ru se garm itna ki mere dil ko jo aisa jalaya ashk mera ba-rang-e-ghuncha-e-afsurda ho gaya tha ye dil so waise murda ko pal mein jalaya ashk mera hua wo jab nazar-andaz yar ka 'agah' mujhe ye be-asari par hansaya ashk mera