ab khanuman-kharab ki manzil yahan nahin kahne ko aashiyan hai magar aashiyan nahin ishq-e-sitam-nawaz ki duniya badal gai husn-e-wafa-shanas bhi kuchh bad-guman nahin mere sanam-kade mein kai aur but bhi hain ek meri zindagi ke tumhin raaz-dan nahin tum se bichhad ke mujh ko sahaara to mil gaya ye aur baat hai ki main kuchh shadman nahin apne hasin khwab ki tabir khud kare itna to mo'tabar ye dil-e-na-tawan nahin zulf-e-daraaz qissa-e-gham mein ulajh na jae andesha-ha-e-ishq kahan hain kahan nahin har har qadam pe kitne sitare bikhar gae lekin rah-e-hayat abhi kahkashan nahin sailab-e-zindagi ke sahaare badhe chalo sahil pe rahne walon ka nam-o-nishan nahin