agarche dushwar tha magar zer kar liya tha

agarche dushwar tha magar zer kar liya tha
ana ka rasta sahal samajh kar jo sar liya tha

wo kahkashaon ki had se aage kahin basa hai
talab mein jis ki zamin pe bosida ghar liya tha

gulon ki chahat mein ek din kya bichhaya hoga
ki hum ne kanton se apna daman bhar liya tha

badhaya us ne jo garam-joshi se hath yaro
nahin tha maslak agarche nazrana par liya tha

usi ka bakhsha hua tha sab kuchh to der kaisi
bas ek ishaare pe kasa-e-jaan dhar liya tha

dil-e-shikasta ki muddaton tak khabar na aai
khula ki mutthi mein tu ne ai fitna-gar liya tha

adu ne chaalon se chit kiya hai 'rashid-hasrat'
wagarna hum ne bhi asp to namwar liya tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close