agarche haal o hawadis ki hukmarani hai har ek shakhs ki apni bhi ek kahani hai main aaj kal ke tasawwur se shad-kaam to hun ye aur baat ki do pal ki zindagani hai nishan rah ke dekhe to ye khayal aaya mera qadam bhi kisi ke liye nishani hai khizan nahin hai ba-juz ek taraddud-e-beja chaman khilao agar zauq-e-baghbani hai kabhi na haal hua mera tere hasb-e-mizaj na samjha tu ki yahi teri bad-gumani hai na samjhe ashk-fishani ko koi mayusi hai dil mein aag agar aankh mein bhi pani hai mila to un ka mila sath hum ko ai 'amir' na daudna hai jinhen aur na chot khani hai