dagh-ha-e-dil ki tabani gai un ke jalwon ki farawani gai aashna na-ashna se ho gae apni surat bhi na pahchani gai ek dil mein saikdon gham ka hujum phir bhi us ghar ki na virani gai ab kahan wo jazba-e-mahr-o-wafa aadmi se khu-e-insani gai aaine mein waqt ke ai ham-nafas doston ki shakl pahchani gai rah gae hosh-o-khirad ke falsafe justuju ta-hadd-e-imkani gai 'mir'-o-'ghaalib' 'wahshat'-o-'dagh'-o-'jigar' kya gae 'asi' ghazal-khwani gai