agarche hadse guzre hain paniyon ki tarah khamosh rah gae hum log sahilon ki tarah kisi ke samne main kis liye zaban kholun mili hai apni ana mujh ko dushmanon ki tarah tere baghair nazar aae hain mujhe aksar makan ke dar-o-diwar qatilon ki tarah na jaane kaun si manzil ko chal diye patte bhatak rahi hain hawaen musafiron ki tarah hamin ne khol ke lab ruh phunk di warna tamam harf the be-jaan pattharon ki tarah main ro raha tha shab-e-gham ki zulmaton se bahut khuda ka shukr jale zakhm mishalon ki tarah yahi to 'kaif' hasad hai ki dil bhi yaron ke siyah ho gae likkhe hue khaton ki tarah