tumhaare liye muskuraati sahar hai hamare liye raat ka ye nagar hai akele yahan baith kar kya karenge bulaya hai jis ne hamein wo kidhar hai pareshan hun kis kis ka surma banaun yahan to har ek ki usi par nazar hai ujala hain rukhsar jadu hain aankhen ba-zahir wo sab ki tarah ek bashar hai wo jis ne hamesha hamein dukh diye hain tamasha to ye hai wahi chaaragar hai nikal kar wahan se kahin dil na thahra bichaara abhi tak yahan dar-ba-dar hai kisi din ye patthar bhi baaten karega mohabbat ki nazron mein itna asar hai jo palkon se gir jae aansu ka qatra jo palkon mein rah jaega wo guhar hai wo zillat wo khwari bhi us ke sabab thi mohabbat ka sehra bhi us dil ke sar hai koi aa raha hai koi ja raha hai samajhte hain duniya ko khala ka ghar hai na koi payam us ki jaanib se aaya na milta kahin ab mera nama-bar hai