agarche lai thi kal raat kuchh najat hawa uda ke le gai baadal bhi sath sath hawa main kuchh kahun bhi to kaise ki wo samajhte hain hamari zat hawa hai hamari baat hawa unhen ye khabt hai wo qaid hum ko kar lenge tumhin batao ki aai hai kis ke hath hawa kisi bhi shakhs mein thahrao nam ka bhi nahin hamein to lagti hai ye sari kaenat hawa uda ke phulon ke jismon se khushbuen sari kare hai mere liye paida mushkilat hawa 'atiq' bujhta bhi kaise charagh-e-dil mera lagi thi us ki hifazat mein sari raat hawa