aai hai jaane kaise ilaqon se raushni aur dhundhti hai kis ko zamanon se raushni ho kar rahi wo ek zamane pe munkashif diwar se ruki na darichon se raushni mauj-e-yaqin ke hath na aai tamam-umr wo lau jise mili hai gumanon se raushni karte hain aaj us pe mah-o-aftab rashk aankhon ko jo mili tere khwabon se raushni mahki hui hun aap ki qurbat se meri jaan kal raat kah rahi thi charaghon se raushni pahle main ek harf-e-ujala aur us ke baad aane lagi hai kitni kitabon se raushni pahle charagh-e-chashm ko raushan kiya tha main phir phutne lagi thi sitaron se raushni harf-e-sukhan se khul gai duniya pe ai 'atiq' dil mein hai kaise kaise khayalon se raushni