agarche maut ko hum ne gale lagaya nahin magar hayat ka ehsan bhi uthaya nahin nazar ke samne ek pal bhi jo nahin thahra wo kaun shakhs hai dil ne use bhulaya nahin main apne aap ko kin raston mein bhul aaya ki zindagi ne bhi mera suragh paya nahin main jis ke waste malbus-e-harf bunta hun wo ek khayal abhi zehn mein bhi aaya nahin hazar khwahish-e-duniya hazar khauf-e-ziyan meri ana ka qadam phir bhi dagmagaya nahin hayat-e-jabr ka sahra-e-be-karan jis mein mohabbaton ke shajar ka kahin bhi saya nahin zamana guzra 'munawar' udhar se guzra tha hawa ne naqsh-e-qadam aaj tak mitaya nahin