lakh jalwe hain nigahon mein nazaron ki tarah dil ke gulshan mein wo aae hain bahaaron ki tarah har ghadi ek naya rang naya aalam hai zindagi hai teri aankhon ke ishaaron ki tarah zindagi phir kisi tufan se uljhegi zarur hont khamosh hain dariya ke kinaron ki tarah kitni pur-nur hui jati hai ab manzil-e-shauq naqsh-e-pa un ke chamakte hain sitaron ki tarah shoala-e-ishq ka bujhna nahin aasan 'mohan' ashk aankhon se dhalakte hain shararon ki tarah