agarche mujh ko be-tauq-o-rasan-basta nahin chhoda kisi qaidi ko us ne is qadar sasta nahin chhoda har ek se dusre ka rabt us ne tod dala hai kisi ka dil kisi ke dil se wabasta nahin chhoda khud apne khwab chun aaya hun kuchh rangin dhokon mein kisi titli ki khatir main ne guldasta nahin chhoda sunen rudad-e-gham kis se ki aashob-e-tabahi ne koi ek bhi gharana shahr mein basta nahin chhoda kahen kya haal qabron ka ki ab ke us ne basti mein janaze bhi guzarne ka koi rasta nahin chhoda kahan par us ne mujh par taliyan bajti nahin chahen kahan kis kis ko mere haal par hansta nahin chhoda