mila jo dhup ka sahra badan shajar na bana main wo hun khud jo kabhi apna ham-safar na bana nagar nagar mein nai bastiyan basai gain hazar chaha magar phir bhi apna ghar na bana ye baat baat hai dil ki to phir jhijak kaisi ye naqsh naqsh-e-wafa hai tu soch kar na bana chamakte din ke ujalon se aashna ho kar andheri raat mein sae ko ham-safar na bana