agarche munh se wo kahta nahin hai magar haal us ka kuchh achchha nahin hai muqabil aaina hai sochta hun ye chehra to mera chehra nahin hai wahan karte rahe sahra-nawardi jahan koson koi saya nahin hai suno ki zard mausam ke asar se gulon ka haal kuchh achchha nahin hai jale sapne bujhi chashm-e-tamanna magar ab tak koi aaya nahin hai na jaane raat bhar kyon sochta hun ye zindan hai mera kamra nahin hai akele mein milun pasha se kaise kisi lamha bhi wo tanha nahin hai