aankhon aankhon lipti hui hairani hai aaina aaina ru-gardani hai khana-dari par hai khalwat ka mausam waqt guzari qissa aur kahani hai mushkil to ye hai ab mushkil koi nahin jo bhi surat hai jaani-pahchani hai sat bakhede sat jhamele sab ke sath chauda ghar mein bikhri ek kahani hai qisson se ham-zad nikal aaya bahar haal ke parde par taswir purani hai khud marzi hai war hamare dil pare zid par hai jo shai wo khud farmani hai sahil sahil bazu burida baithe hain gharqabi par takhne takhne pani hai ahd-e-sitara jang hai manzar-yabi par dil dil 'rahmani' wahshat-samani hai