agarche qatra hun aur bahr se juda bhi nahin

agarche qatra hun aur bahr se juda bhi nahin
magar ye kya hai ki main bahr-ashna bhi nahin

ye justuju teri lai hai kis jagah mujh ko
yahan to koi tera surat-ashna bhi nahin

dikha kuchh apni ziya tu hi dagh-e-nakaami
ki ab to jalwa-e-ummid ka pata bhi nahin

ilahi kis ka sahaara wufur-e-zof mein lun
labon pe ab to mere aah-e-na-rasa bhi nahin

wo ek tum ki mere muddaa-e-sar-ta-pa
wo ek main ki jise izn-e-iltija bhi nahin

na karwan ka pata hai na rah-rawan ka nishan
ajab hai rah-e-adam jis mein naqsh-e-pa bhi nahin

khayal-e-yar hi khizr-e-rah-e-mohabbat hai
na chhut jae to phir koi rahnuma bhi nahin

urus-e-dahr dikhati hai kyon jamal mujhe
mere junun ko to is but se wasta bhi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close