hosh-o-KHirad ka rah-e-junun mein guzar nahin

hosh-o-khirad ka rah-e-junun mein guzar nahin
yan ba-khabar wo hai jise apni khabar nahin

kuchh izhdiham jalwa se aata nazar nahin
wo pas hain ki dur ye tujh ko khabar nahin

josh-e-junun-e-ishq ki takmil ke liye
kya kam hai ye ki aah mein meri asar nahin

idrak kar liya hai wahan ishq ne tujhe
ehsas-e-wahm ka bhi jahan par guzar nahin

shabnam ka jazb chahiye khurshid ka karam
parwaz-e-ishq munhasir-e-baal-o-par nahin

duniya-e-ishq mein dil-e-na-ashna-e-gham
aisi bhi ek sham hai jis ki sahar nahin

rag rag dil-e-fasurda ki muddat se sard hai
ab khak-dan-e-ishq mein koi sharar nahin

'wahshi' qadam qadam pe yahan sajda-rez ho
ku-e-harim-e-yar hai ye rahguzar nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close