agarche tarz-e-amal us ka nagawar bhi tha magar wo mere tasawwur ka shahkar bhi tha wo bewafa mujhe tanha fareb kya deta qusur-war mera apna eatibar bhi tha hum aise gum the masail mein dhyan hi na raha wo aa gaya to laga us ka intizar bhi tha ba-zahir us ke labon par hansi rahi lekin dam-e-widaa wo dar-parda be-qarar bhi tha jis anjuman mein bahut gham uthae dukh jhele us anjuman mein mera ek gham-gusar bhi tha wo kaun shakhs tha kal raat bazm-e-yaran mein jo qahqahon mein bhi shamil tha sogwar bhi tha