sud-o-ziyan ki fikr se begana ban ke ji jine ki aarzu hai to diwana ban ke ji phir aam kar rumuz-e-tajalli ba-rang-e-nau tu ai kalim tur ka afsana ban ke ji hai justuju mein teri tajalli ki har nazar tu shama-e-ru-e-dost ka parwana ban ke ji ai farigh-e-rusum-oquyud-e-tayyunat ji aur harif-e-kaba-o-but-khana ban ke ji tar-e-nafas ke saz pe raqsan hai zindagi muhtaj-e-iltifat-e-masiha na ban ke ji marhun-e-kaifiyat-e-mai-e-rang-o-bu na ho begana-war surat-e-paimana ban ke ji koi maqam-e-shauq shikayat na kar sake khud-rafta ban ke ji kabhi farzana ban ke ji 'zamzam' tariq-e-ishq mein tajdid-e-shauq kar tafsir-e-kaba sharh-e-sanam-khana ban ke ji