agle panch dinon tak jina chahta hun ro lunga par pahle hansna chahta hun meri aankhon ke ab panw kanpte hain us ko main ji bhar ke takna chahta hun main sahra hun kuchh badlao lazmi hai ab main dariya ban kar bahna chahta hun duniya walo aakhir-kar turabi hun main hathon par suraj dharna chahta hun us ke har andaz ko sansen de kar main us ke har andaz pe marna chahta hun bahri nahin hai nok sinan ki sun legi sar hun aur tilawat karna chahta hun jo tere pahlu par hai us gagar se izn mile to pani pina chahta hun tera lams bhi dusra nam hai agni ka chhu le mujh ko ab main jalna chahta hun