kanware aansuon se raat ghael hoti rahti hai

kanware aansuon se raat ghael hoti rahti hai
sitare jhadte rahte hain rehearsal hoti rahti hai

siyasi mashq kar ke tum to dilli laut jate ho
yahan sahme hue logon mein halchal hoti rahti hai

wahan rakkhe hue mohre barabar marte rahte hain
idhar kheli hui bazi mukammal hoti rahti hai

main sab kuchh bhul ke jaane ki koshish karta rahta hun
magar guzri hui wo raat pagal hoti rahti hai

na jaane kya kharabi aa gai hai mere lahje mein
na jaane kyun meri aawaz bojhal hoti rahti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close