ahbab bhi hain khub ki tashhir kar gae mera sukut ishq se tabir kar gae jadu-asar the hont ki saghar ko chum kar kuchh aur hi sharab ki tasir kar gae har uzw jaise jism ka tha bolta hua lahrae us ke hath ki taqrir kar gae az-baam ta-ba-mai-kada gesu dhuan dhuan aalam tamam halqa-e-zanjir kar gae tahrir-e-khatt-e-jam se sab wa hue rumuz hum uqda-e-miyan ki tadbir kar gae han katiban-e-nama-e-amal ko thi kad kuchh aur meri fard mein tahrir kar gae 'sahba' wo ek lafz tha diwar ka likha hum jo mite to ishq ki tauqir kar gae