be-khabar sa tha magar sab ki khabar rakhta tha chahe jaane ke sabhi aib-o-hunar rakhta tha la-talluq nazar aata tha ba-zahir lekin be-niyazana har ek dil mein guzar rakhta tha us ki nafrat ka bhi meyar juda tha sab se wo alag apna ek andaz-e-nazar rakhta tha be-yaqini ki fazaon mein bhi tha hausla-mand shab-paraston se bhi ummid-e-sahar rakhta tha mashware karte hain jo ghar ko sajaane ke liye un se kis tarah kahun main bhi to ghar rakhta tha us ke har war ko sahta raha hans kar 'mohsin' ye tassur na diya main bhi sipar rakhta tha