ahbab ko mail-ba-jafa dekh rahe hain kya dekhne hum aae the kya dekh rahe hain allah re masumi-e-arbab-e-tamanna patthar ke khudaon mein wafa dekh rahe hain begana-rawi tum pe hi mauquf nahin hai hum jism se sae ko juda dekh rahe hain tabligh jo karte hain zamane mein wafa ki un ka bhi hum andaz-e-wafa dekh rahe hain hain pairwi-e-khizr ke anjam se waqif is par bhi hum ek rah-numa dekh rahe hain mahfil mein faqat hum hi nahin ‘talib’-e-jalwa ab milti hai kis kis ko saza dekh rahe hain