ai falak ujlat na kar bijli girane ke liye

ai falak ujlat na kar bijli girane ke liye
chand tinke aur chun lun aashiyane ke liye

zindagi ne pai thin do saaten roz-e-azal
ek gham bahne ko aur ek muskurane ke liye

kya kare jab ishq hi ko tab-e-nazzara na ho
husn khud betab hai jalwa dikhane ke liye

be-hisi se bhi kahin taskhir hota hai jahan
hausla darkar hai duniya pe chhane ke liye

kyon na ai 'talib' dar-e-jaanan pe jhuk jae jabin
hai yahi ek aastan bigdi banane ke liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close