ahbab mere sare ke sare badal gae nigah-e-karam ke jab se ishaare badal gae hasrat hai dekhne ki na jalwon mein dilkashi nazren badal gain ki nazare badal gae kandhon pe zimmedariyan jis din se aa gain tab se tamam shauq hamare badal gae dast-e-daraaz hum ne kiya mangi bhik tak lekin wafa se dost hamare badal gae taqdir hum pe hone hi wali thi mehrban phir yun hua nasib ke tare badal gae jis roz tere aane ki lai khabar hawa us roz gul-kade mein sharare badal gae badla 'khumar' waqt hamara to dafatan mohsin tamam badle sahaare badal gae