dil mein har ek aarzu ghut ghut ke mar gai umr-e-rawan guzarne ko aakhir guzar gai ai chand taro aap ne dekha hai kya use meri khushi abhi abhi jaane kidhar gai sham-e-gham-e-firaq thi aur aap ka khayal phir yun hua ki aankh tamanna ki bhar gai mahfil mein khul gai jo meri dafatan zaban sunte hi kitne chehron ki rangat utar gai bigda mera nasib to kyon gham karun bhala ye bhi to kam nahin teri qismat sanwar gai sada-mizajiyan hain achambhe mein aaj tak fitna-garon ki chaal bada kaam kar gai hosh-o-hawas ud gae aankhen khuli rahin logon ki jab nigah tere baam par gai