ahd-e-hazir ne jo thukraya bahut wo purana daur yaad aaya bahut kya mila meri tabahi par unhen khanda-zan hai mera ham-saya bahut aish-o-ishrat mein to hum bhule rahe dukh musibat mein wo yaad aaya bahut ho mubarak lazzat-e-ifraat-e-gham hai ye arzani garan-maya bahut chhat nahin mere makan mein to na ho aasman ka hai mujhe saya bahut khushk kheton par faqat garja kiye aur dariyaon pe barsaya bahut jis pe pad jae wahi 'mahmud' ho hai pasandida mera saya bahut