aql ki sath se kuchh aur ubhar jaana tha ishq ko manzil-e-pasti se guzar jaana tha jalwe the halqa-e-sar dam-e-nazar se bahar main ne har jalwe ko paband-e-nazar jaana tha husn ka gham bhi hasin fikr hasin dard hasin un ko har rang mein har taur sanwar jaana tha husn ne shauq ke hangame to dekhe the bahut ishq ke dawa-e-taqdis se dar jaana tha ye to kya kahiye chala tha main kahan se hamdam mujh ko ye bhi na tha malum kidhar jaana tha husn aur ishq ko de tana-e-bedad 'majaz' tum ko to sirf isi baat par mar jaana tha