ahd-e-kam-koshi mein ye bhi hausla main ne kiya shahr ke sab band darwazon ko wa main ne kiya main ne saf-ara kiya ek majma-e-shorida-sar kaj-kulah-e-shahr ko be-majra main ne kiya de diye mahrumiyon ke hath mein jam-o-subu mai-kade mein ek hangama bapa main ne kiya main adalat mein utha laya hun khud apni salib mere munsif dekh ye bhi faisla main ne kiya main ne majnun ko diya dars-e-suluk-e-ashiqi chaak-daman ko mohabbat ki jaza main ne kiya main ne aiwanon mein phenke sang-e-jurat-afrin nashsha-e-taqat-asar ko be-maza main ne kiya is se badh kar aur kya hoga subub-e-bandagi mujh se 'tishna' us ne jo kuchh bhi kaha main ne kiya