bahs kyun hai kafir-o-din-dar ki sab hai qudrat dawar-e-dawwar ki hum saf-e-qalu-bala mein kya na the kuchh nai khwahish nahin didar ki dhundh kar dil mein nikala tujh ko yar tu ne ab mehnat meri be-kar ki shakl-e-gul mein jalwa karte ho kabhi gah surat bulbul-e-gulzar ki aap aate ho kabhi subha-ba-kaf karte ho khwahish kabhi zunnar ki lan-tarani aap ki musa se thi har jagah hajat nahin inkar ki khas hain maqtul-e-shamshir-e-jafa kuchh to lazzat hai teri talwar ki dair-o-kaba mein kalisa mein phire har jagah hum ne talash-e-yar ki sab ki hai taqdir tere hath mein kya shikayat muslim o kuffar ki hum mein jauhar the ibaadat khas ke kar diya insan ye mitti khwar ki mahr-o-mah ko umr bhar dekha kiye thi tamanna ru-e-pur-anwar ki aur ai 'bahram' ek likkho ghazal aap ko qillat nahin ashaar ki