ahd-e-rafta ke ujalon ki sada hain hum bhi qartaba teri tarah radd-e-fana hain hum bhi baad-e-yakh-basta chali hai to chale khub chale jalte tapte hue sahra ki sada hain hum bhi umr-o-ayyar ki zambil mein rakkha kya hai haq ki talwar hain hamza ki sada hain hum bhi sehr kya chiz hai baatil ki haqiqat kiya hai waqt ke hath mein musa ka asa hain hum bhi kasa-e-shab mein ujala mah-e-nakhshab ka hai aur chadhte hue suraj ki ziya hain hum bhi ahd-e-nau apni zabanon pe saja le hum ko apne aslaf ki pakiza dua hain hum bhi 'shams' kya khauf andheron se bhala ho hum ko raat walon ke liye subh-numa hain hum bhi