sara aalam dhup ka sa saya-e-ashjar mein dam kahan se aaega marte hue bimar mein is tanasub par karoge ghaur to mar jaoge khun ke chhinte hain kitne surkhi-e-diwar mein aadi-tirchhi suraten hi ug rahi hain shakh par kis ne tute aainon ko rakh diya gulzar mein sar jhukane ko jhuka den hum to yun bhi sau dafa shakh-e-gul ki bu kahan se aap ki talwar mein kaun si bazi lagai ja rahi hai dekhna log marte ja rahe hain kucha-e-dildar mein jaane kin chehron ki sazish ka natija hai 'shamim' aaine tute pade hain waqt ke bazar mein