ahd-e-rafta ki hikayat karbala se kam na thi zindagani nasl-e-adam par bala se kam na thi khun ke dariya ki lahron mein bashar gharqab tha waqt ki raftar goya bad-dua se kam na thi phir rahe the hukmaran kashkol le kar dar-ba-dar bandagi ki zahiri surat gada se kam na thi har taraf khunin bhanwar har samt chikhon ke azab mauj-e-gul bhi ab ke dozakh ki hawa se kam na thi mabadon mein jin ke iman par lahu chhidka gaya un ke khal-o-khat ki raunaq parsa se kam na thi zulm ke ifrit ne shahron ko viran kar diya yun to barbaadi jahan mein ibtida se kam na thi aisi zalim dastanen kan mein padti rahin haisiyat jin ki tilismi majra se kam na thi jaane kis gardab-e-zulmat mein duboya hai unhen jin ki raushan rahnumai nakhuda se kam na thi