ashk aankhon mein na the did ka sauda to na tha

ashk aankhon mein na the did ka sauda to na tha
ishq se pahle kisi taur taqaza to na tha

apne hi saya se darta hun ilahi tauba
is tarah se kabhi andesha-e-farda to na tha

un se pahle bhi chaman mein thi sahar ki raunaq
baad-e-sarsar ki jawani ka nazara to na tha

pahle bhi chand sitare the falak par maujud
gesu-e-shab ko bahaaron ne sanwara to na tha

jaane kyun aankhon mein aate hain simat kar aansu
sochta hun kahin gardish mein sitara to na tha

yaad aate hi badha un se mulaqat ka shauq
uth gae khud hi qadam dil mein irada to na tha

main ne mai-khane ke har jam mein garmi pai
jaane kya chiz thi paimanon mein baada to na tha

ab to har sans pe hota hai guman-e-dhadkan
dard uthta hi raha hai magar aisa to na tha

aankh jhapki thi 'khizar' nabz ruki thi ek dam
kuchh bhi kah lijiye wo dost ka jalwa to na tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close