ahl-e-dil jis ko fana aur na baqa kahte hain zinda rahne ke is andaz ko kya kahte hain zikr us shokh se karta hai koi jab mera rukh pe aa jata hai ek rang-e-haya kahte hain khak us shakhs ne mujh hi ko kiya sab jis ko shoala-ru shola-nazar shoala-nawa kahte hain lamha bhar ishq pe apne zara khul kar hans len girya-e-hijr hai qismat mein likha kahte hain wahi sunta nahin fariyaad hamari ai dil hum jise apni mohabbat ka khuda kahte hain na rah-o-rasm hai jis se na dua aur na salam phir bhi ahbab mujhe us pe fida kahte hain be-takalluf jo sama jae nigah-o-dil mein hum faqat us ko mohabbat ki ada kahte hain kitne be-din hain mat puchh awam-e-mahkum har nae daur ke hakim ko khuda kahte hain khas apnon mein bhi hote hain kuchh aise bad-khwah dil se chahen jo bura munh pe bhala kahte hain dil ki aawaz hai ab ruh ka nauha ai 'raaz' jaane kyon log mujhe naghma-sara kahte hain