ai sahab-e-waqt mujh ko dekh kar thahra na kar dhup sar par daimi hai aarzi saya na kar aashiqi shaistagi-o-raaz-dari ka hai nam khud bhi be-parwa na ho mujh ko bhi be-parwa na kar zinda rahna mohlat-e-imroz mein hai zindagi dosh-o-farda ka maal ai be-khabar socha na kar khaliq-e-manzil hai tu rakh apni himmat par yaqin raste mein naqsh-e-pa-e-rahnuma dhunda na kar sadgi par main teri sau jaan se qurban hun yun ba-andaz-tasannoa samne aaya na kar baad ke hathon mein kuchh kankar hain dasht-o-koh ke narm mitti se uge ai nakhl sar uncha na kar dhadkanon ke zer-o-bam se raaz ho jate hain fash ai dil-e-betab is andaz se dhadka na kar aankhon aankhon mein bayan kar har haqiqat 'raaz' ki kan diwaron ke bhi hote hain lab khola na kar