ahl-e-dil kyunkar rahen rahne ke ye qabil nahin

ahl-e-dil kyunkar rahen rahne ke ye qabil nahin
is jagah pathar bahut milte hain lekin dil nahin

al-madad mauj-e-talatum al-madad dariya-e-ishq
kashti-e-dil kis taraf jae kahin sahil nahin

aur badhna hai abhi aage had-e-idrak se
jis ko main samjha tha manzil wo meri manzil nahin

kya sunaun aap ko main dastan-e-zindagi
mere qabu mein zaban-e-shauq to hai dil nahin

jam bhi hai saqi-e-gul-gun-qaba bhi hai 'riyaz'
jis ko nazren dhundti hain wo sar-e-mahfil nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close