bahaar-e-bagh mehman do ghadi hai usi se os ghunchon par padi hai unhen jaan-e-chaman kyunkar na samjhun hai chehra phul to lab pankhudi hai rukh-e-gul-gun araq aalud hai yun ki jaise os phulon par padi hai koi pursan-e-haal-e-dil ho kyunkar yahan har ek ko apni padi hai 'riyaz' aawaz aati hai jaras se rah-e-taslim ki manzil kadi hai