ahl-e-dil milte nahin ahl-e-nazar milte nahin zulmat-e-dauran mein khurshid-e-sahr milte nahin manzilon ki justuju ka tazkira be-sud hai dhundne niklo to ab apne hi ghar milte nahin aadmi tukdon ki surat mein hua hai muntashir wahdat-e-fikr-o-nazar wale bashar milte nahin raste raushan hain aasar-e-safar madum hain bastiyan maujud hain diwar-o-dar milte nahin zauq-e-nazzara dilon mein dafn ho kar rah gaya aankh walon mein bhi ab ahl-e-nazar milte nahin badh gae hain is qadar qalb o nazar ke fasle sath ho kar ham-safar se ham-safar milte nahin zehn ki chatyal zamin se aanch aati hai 'zahir' ab yahan ehsas ke rangin shajar milte nahin