ek shakhs raat band-e-qaba kholta raha shab ki siyahiyon mein shafaq gholta raha tanhaiyon mein aati rahi jab bhi us ki yaad saya sa ek qarib mere dolta raha husn-e-bahaar khub magar dida-e-bahaar moti chaman ki khak pe kyun rolta raha us ne sukut ko bhi takallum samajh liya kuchh is ada-e-khas se dil bolta raha hijran ki raat mashghala-e-dil se puchhiye us zulf-e-kham-ba-kham ki girah kholta raha hum kushtagan-e-khwab giran-gosh hi rahe suraj saron pe waqt-e-sahar bolta raha is rah-e-jazb se bhi guzarna pada 'zahir' jis rah mein khirad ka qadam dolta raha