ahl-e-duniya ke liye ye majra hai mukhtalif pattharon ke shahr mein ek aaina hai mukhtalif mere bachche kitne hairan hain ki in ke waste pesh-rau ke naqsh-e-pa ka silsila hai mukhtalif dolti hai sans ke tufan mein kashti zist ki baadbani ke liye ab ke hawa hai mukhtalif saaton ki dhup ne jab bhi tasalli di ghani qadd-o-qamat apne sae ka mila hai mukhtalif chun len aankhon se hamari nind ki sab kirchiyan waqt ke gunge qabile ki saza hai mukhtalif dekhiye to sabz kheton mein shuaon ka hai raqs sochiye to mausam-e-rang-e-ada hai mukhtalif chashm-e-hairat se na yun dekha karen 'shahin-badr' mausam-e-ikhlas ki thandi hawa hai mukhtalif